MIRAZ GHALIBWoh firaaq or woh visaal kahan,
Woh shab-o-Roz-o-Maah-o-Saal kahan...
Fursat-e-Karobaar-e-Shauq kisay,
Zauq-e-Nazara-e-Jamaal kahan...
Dil toh dil woh dimagh bhi na raha,
Shor-e-Sauda-e-Khatt-o-Khaal kahan...
Thhi woh ik shakhs k tasawwur say,
Ab woh ranaaiyeh khayal kahan...
Aisa aasan nahein lahoo rona,
Dil mein taqat, Jigar mein hall kahan...
Hum say chhoota qamaar-e-Khaana-e-Ishq,
Wan jo jaawen, Girah mein maal kahan...
Fikr-e-Duniya mein sir khhapaata hun,
Main kahan or yeh wabaal kahan...
Muzmahill ho gaye quwa'a Ghalib!
Woh anaasir mein atedaal kahan...
