Zindagi Mein
Rukh badal jata hai zindagi ka,
Har hawa ke jhonke ke baad
Log badal jate hain zindagi me
Har ek mod ke baad.
Ek dharre se zindagi jeena,
Badi galat fehmii hai ek,
Soch badal jaati hai zindagi me,
Har ek lamhe ke baad.
Kal ke intazaar me aaj bitaana
Ye aas bekaar hai ab,
Koi aas reh jaati hai zindagi me
Har ek intazaar ke baad.
Beete huye palo ko bhulaana,
Har pal mushkil hai itna
Phir bhi yaad rah jaati hai zindagi me,
Har ek mulaqat ke baad.
Dastan gum jayegi kahin
Ye samajhna galat hai abhi bhi,
Ek aarzoo ban jaati hai zindagi me,
Har guzre waqt ke daur ke baad.