Yah ghazal meri faveriot ki list main se hai jo ap logo k sat k share kar rahi hoon hope so u all r like it also
Bara duswar hota hai zara sa faisla karna,
k jevan ki kahani ko,biyane be zubani ko,
kaha se yad rakhna hai kaha se bhool jana hai,
kise kitna batana hai kisse kitna chupana hai,
kaha ro ro k hasna hai kaha hans hans k rona hai,
kaha awaz deni hai kaha khamosh rehna hai,
kaha rasta badalna hai kaha se lot ana hai,
bara duswar hota hai zara sa faisla karna.